pahunchi hai kis maqam pe tishna-labon ki pyas
pahuñchī hai kis maqām pe tishna-laboñ kī pyaas
palkoñ ko ham ne dekhā hai ashkoñ ke ās-pās
bujhtī nahīñ hai os se shāyad guloñ kī pyaas
aañsū hī kuchh bikher duuñ shabnam ke ās-pās
ḳhush kis tarah se rahte haiñ vīrāñ gharoñ meñ log
apnā to ho gayā hai bhare ghar meñ jī udaas
lagtā hai is jahāñ meñ ḳhushī hī nahīñ rahī
jaise udaas aap haiñ vaise haiñ ham udaas
kis tarah nibh sakegī zamāne se dostī
maiñ bhī huuñ ġham-shanās mirā dil bhī ġham-shanās
'farhat' mujhe azal se milā thā yahī mizāj
aur kuchh mujhe zamāne ne rakhā hai bad-havās
pahunchi hai kis maqam pe tishna-labon ki pyas
palkon ko hum ne dekha hai ashkon ke aas-pas
bujhti nahin hai os se shayad gulon ki pyas
aansu hi kuchh bikher dun shabnam ke aas-pas
KHush kis tarah se rahte hain viran gharon mein log
apna to ho gaya hai bhare ghar mein ji udas
lagta hai is jahan mein KHushi hi nahin rahi
jaise udas aap hain waise hain hum udas
kis tarah nibh sakegi zamane se dosti
main bhi hun gham-shanas mera dil bhi gham-shanas
'farhat' mujhe azal se mila tha yahi mizaj
aur kuchh mujhe zamane ne rakha hai bad-hawas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.