pahunchi na dil ki baat hudud-e-payam tak
pahūñchī na dil kī baat hudūd-e-payām tak
baaqī haiñ un pe kitne javāb-e-salām tak
but-ḳhāna-sāz rang-e-zamāna hai kis qadar
chhoḌā na us ne kā'ba-e-ālī-maqām tak
mānūs ho rahe haiñ tirī jalva-gāh se
pahoñche abhī haiñ manzil-e-māh-e-tamām tak
jab tak rahe vo merī nigāhoñ ke sāmne
Thahrī na ek ruḳh se adā-e-ḳhirām tak
dil de ke un ko aap se aise guzar ga.e
jaise ki ham the sirf isī intizām tak
anjām-e-kār shab ke añdhere meñ luT gayā
rakkhā thā kaif-e-sub.h bachā kar jo shaam tak
is tarah kar rahe haiñ 'razā' kā vo tazkira
ḳhālī nahīñ hai tanz se husn-e-kalām tak
pahunchi na dil ki baat hudud-e-payam tak
baqi hain un pe kitne jawab-e-salam tak
but-KHana-saz rang-e-zamana hai kis qadar
chhoDa na us ne ka'ba-e-ali-maqam tak
manus ho rahe hain teri jalwa-gah se
pahonche abhi hain manzil-e-mah-e-tamam tak
jab tak rahe wo meri nigahon ke samne
Thahri na ek ruKH se ada-e-KHiram tak
dil de ke un ko aap se aise guzar gae
jaise ki hum the sirf isi intizam tak
anjam-e-kar shab ke andhere mein luT gaya
rakkha tha kaif-e-subh bacha kar jo sham tak
is tarah kar rahe hain 'raza' ka wo tazkira
KHali nahin hai tanz se husn-e-kalam tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.