pai-ba-pai aaina-bandi mere uske darmiyan
pai-ba-pai ā.īna-bañdī mere us ke darmiyāñ
ik musalsal ḳhud-farebī mere us ke darmiyāñ
rishta-e-ḳhud-e'timādī mere us ke darmiyāñ
kab rahī thī ḳhush-gumānī mere us ke darmiyāñ
paidā hotā kis tarah ḳhud-e'timādī kā savāl
kab rahī thī ḳhush-gumānī mere us ke darmiyāñ
kaun ḳhiffat mol letā pesh-qadmī kartā kaun
buzdilī phailī huī thī mere us ke darmiyāñ
ajnabiyyat us ne bartī kyā burā us ne kiyā
kaun sī thī āshnā.ī mere us ke darmiyāñ
zindagī se zindagī tak ik sadī kā fāsla
ek dīvār-e-ḳhamoshī mere us ke darmiyāñ
phir bhī ham ik dūsre ko TuuT kar chāhā kiye
thī ba-zāhir sard-mehrī mere us ke darmiyāñ
ik ġhalat-fahmī ke hāthoñ umr bhar haa.il rahā
ik hisār-e-be-niyāzī mere us ke darmiyāñ
hotī 'rahmānī' bhalā sāhab salāmat kis tarah
ho sakī thī kab safā.ī mere us ke darmiyāñ
pai-ba-pai aaina-bandi mere us ke darmiyan
ek musalsal KHud-farebi mere us ke darmiyan
rishta-e-KHud-e'timadi mere us ke darmiyan
kab rahi thi KHush-gumani mere us ke darmiyan
paida hota kis tarah KHud-e'timadi ka sawal
kab rahi thi KHush-gumani mere us ke darmiyan
kaun KHiffat mol leta pesh-qadmi karta kaun
buzdili phaili hui thi mere us ke darmiyan
ajnabiyyat us ne barti kya bura us ne kiya
kaun si thi aashnai mere us ke darmiyan
zindagi se zindagi tak ek sadi ka fasla
ek diwar-e-KHamoshi mere us ke darmiyan
phir bhi hum ek dusre ko TuT kar chaha kiye
thi ba-zahir sard-mehri mere us ke darmiyan
ek ghalat-fahmi ke hathon umr bhar hail raha
ek hisar-e-be-niyazi mere us ke darmiyan
hoti 'rahmani' bhala sahab salamat kis tarah
ho saki thi kab safai mere us ke darmiyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.