paiham jal mein rahti hun
paiham jal meñ rahtī huuñ
phir bhī sūkhī sūkhī huuñ
dāman aisā phāḌā hai
nāḳhūnoñ se sahmī huuñ
nibh meñ lākhoñ taare haiñ
ik taare sī maiñ bhī huuñ
taanā TuuTā hai man kā
baanā pakḌe baiThī huuñ
kachhvā hai mujh meñ 'sīmā'
haule haule chaltī huuñ
paiham jal mein rahti hun
phir bhi sukhi sukhi hun
daman aisa phaDa hai
naKHunon se sahmi hun
nibh mein lakhon tare hain
ek tare si main bhi hun
tana TuTa hai man ka
bana pakDe baiThi hun
kachhwa hai mujh mein 'sima'
haule haule chalti hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.