paiham sharik-e-parwarish-e-gulsitan rahe
paiham sharīk-e-parvarish-e-gulsitāñ rahe
har chand ham misāl-e-sabā be-nishāñ rahe
ham falsafoñ kī god ke parvarda aadmī
is maslahat-kade meñ bahut sargirāñ rahe
TuuTe qadam qadam pe ḳhayālāt ke sanam
haa.il kuchh aise raah meñ sang-e-girāñ rahe
chhup-chhup ke chashm-e-dahr se ronā paḌā hameñ
duniyā pe ham 'ayāñ the ziyāda nihāñ rahe
kāñTā sā thā jo dil meñ 'jamālī' umiid kā
jab vo nikal gayā to bahut shādmāñ rahe
paiham sharik-e-parwarish-e-gulsitan rahe
har chand hum misal-e-saba be-nishan rahe
hum falsafon ki god ke parwarda aadmi
is maslahat-kade mein bahut sargiran rahe
TuTe qadam qadam pe KHayalat ke sanam
hail kuchh aise rah mein sang-e-giran rahe
chhup-chhup ke chashm-e-dahr se rona paDa hamein
duniya pe hum 'ayan the ziyaada nihan rahe
kanTa sa tha jo dil mein 'jamali' umid ka
jab wo nikal gaya to bahut shadman rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.