paikar-e-husn jab uDan mein tha
paikar-e-husn jab uḌaan meñ thā
rang hī rang āsmān meñ thā
tujh ko dekhā magar kahāñ dekhā
ek ehsās darmiyān meñ thā
zindagī kitnī ḳhūbsūrat thī
ārzūoñ ke sā.ebān meñ thā
ek jins-e-vafā na thī varna
kyā nahīñ husn kī dukān meñ thā
zindagī terī chāhatoñ kī qasam
har qadam maiñ hī imtihān meñ thā
sab ne apnī hī dāstāñ samjhī
jaane kyā merī dāstān meñ thā
zindagī aaj bhī hai zaḳhmī sī
tiir aisā vo ik kamān meñ thā
paikar-e-husn jab uDan mein tha
rang hi rang aasman mein tha
tujh ko dekha magar kahan dekha
ek ehsas darmiyan mein tha
zindagi kitni KHubsurat thi
aarzuon ke saeban mein tha
ek jins-e-wafa na thi warna
kya nahin husn ki dukan mein tha
zindagi teri chahaton ki qasam
har qadam main hi imtihan mein tha
sab ne apni hi dastan samjhi
jaane kya meri dastan mein tha
zindagi aaj bhi hai zaKHmi si
tir aisa wo ek kaman mein tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.