paikar-e-mehr-o-wafa ruh-e-ghazal yani tu
paikar-e-mehr-o-vafā rūh-e-ġhazal yā'nī tū
mil gayā 'ishq ko ik husn-e-mahal yā'nī tū
shahr-e-ḳhūbāñ meñ kahāñ sahl thā dil par qaabū
muztarib dil ko milā sabr kā phal yā'nī tū
ġham-e-dil ho ġham-e-jānāñ ki ġham-e-daurāñ ho
sab masā.il kā mire ek hī hal yā'nī tū
DhūñD kar lā.ūñ koī tujh sā kahāñ se āḳhir
ek hī shaḳhs hai bas terā badal yā'nī tū
pyaas kī zad meñ mohabbat kā shajar yā'nī maiñ
jis pe barsā na kabhī priit kā jal yā'nī tū
qalb-e-'rāġhib' meñ 'ajab shaan se hai jalva-fagan
dilrubā.ī kā hasīñ tāj-mahal yā'nī tū
paikar-e-mehr-o-wafa ruh-e-ghazal ya'ni tu
mil gaya 'ishq ko ek husn-e-mahal ya'ni tu
shahr-e-KHuban mein kahan sahl tha dil par qabu
muztarib dil ko mila sabr ka phal ya'ni tu
gham-e-dil ho gham-e-jaanan ki gham-e-dauran ho
sab masail ka mere ek hi hal ya'ni tu
DhunD kar laun koi tujh sa kahan se aaKHir
ek hi shaKHs hai bas tera badal ya'ni tu
pyas ki zad mein mohabbat ka shajar ya'ni main
jis pe barsa na kabhi prit ka jal ya'ni tu
qalb-e-'raghib' mein 'ajab shan se hai jalwa-fagan
dilrubai ka hasin taj-mahal ya'ni tu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.