paikar-e-naz pe jab mauj-e-haya chalti thi
paikar-e-nāz pe jab mauj-e-hayā chaltī thī
qarya-e-jāñ meñ mohabbat kī havā chaltī thī
un ke kūche se guzartā thā uThā.e hue sar
jazba-e-ishq ke hamrāh anā chaltī thī
ik zamāna bhī chalā saath to aage aage
gard uḌātī huī ik mauj-e-balā chaltī thī
parda-e-fikr pe har aan chamakte the nujūm
farsh tā arsh koī māh-liqā chaltī thī
maiñ hī tanhā na ḳharāboñ se guzartā thā 'na.īm'
shaam tā sub.h sitāroñ kī ziyā chaltī thī
paikar-e-naz pe jab mauj-e-haya chalti thi
qarya-e-jaan mein mohabbat ki hawa chalti thi
un ke kuche se guzarta tha uThae hue sar
jazba-e-ishq ke hamrah ana chalti thi
ek zamana bhi chala sath to aage aage
gard uDati hui ek mauj-e-bala chalti thi
parda-e-fikr pe har aan chamakte the nujum
farsh ta arsh koi mah-liqa chalti thi
main hi tanha na KHarabon se guzarta tha 'naim'
sham ta subh sitaron ki ziya chalti thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.