paikar-e-nur mein Dhalta hi chala jata hun
paikar-e-nūr meñ Dhaltā hī chalā jaatā huuñ
lau pakaḌ luuñ to maiñ jaltā hī chalā jaatā huuñ
ek tū hai kī mayassar nahīñ aane vaalā
ek maiñ huuñ ki machaltā hī chalā jaatā huuñ
faisla-kun hai agar tū to bas ab jaldī kar
maiñ jo Tal jā.ūñ to Taltā hī chalā jaatā huuñ
naḳhl-e-sahrā thā magar jab se tū royā mujh par
dekh maiñ phūltā-phaltā hī chalā jaatā huuñ
paikar-e-nur mein Dhalta hi chala jata hun
lau pakaD lun to main jalta hi chala jata hun
ek tu hai ki mayassar nahin aane wala
ek main hun ki machalta hi chala jata hun
faisla-kun hai agar tu to bas ab jaldi kar
main jo Tal jaun to Talta hi chala jata hun
naKHl-e-sahra tha magar jab se tu roya mujh par
dekh main phulta-phalta hi chala jata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.