paikar-e-paikar se paikar aadhi rah gai
paikar-e-paikār se paikār aadhī rah ga.ī
us kā ġhussa kam huā takrār aadhī rah ga.ī
tuur par muusā ne dekhī ik jhalak to kyā huā
aadhī niklī hasrat-e-dīdār aadhī rah ga.ī
kyoñ hue ḳhāna-nashīñ ye kyā kiyā tum ne sitam
ghar se niklo garmī-e-bāzār aadhī rah ga.ī
haiñ bahut mohkam qafas kī tīliyāñ minqār se
sa'ī-e-paiham se lo ab minqār aadhī rah ga.ī
paikar-e-paikar se paikar aadhi rah gai
us ka ghussa kam hua takrar aadhi rah gai
tur par musa ne dekhi ek jhalak to kya hua
aadhi nikli hasrat-e-didar aadhi rah gai
kyon hue KHana-nashin ye kya kiya tum ne sitam
ghar se niklo garmi-e-bazar aadhi rah gai
hain bahut mohkam qafas ki tiliyan minqar se
sa'i-e-paiham se lo ab minqar aadhi rah gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.