paiman-e-wafa toD ke jaane ke liye aa
paimān-e-vafā toḌ ke jaane ke liye aa
aa dil kī lagī aur baḌhāne ke liye aa
pāmāl hī kar zulm hī Dhāne ke liye aa
mujh ko mirā ehsās dilāne ke liye aa
nau-ḳhez bahāroñ se mire dil ko sajā de
zaḳhmoñ ke na.e phuul khilāne ke liye aa
kab se ġham-e-hālāt kī rāhoñ meñ paḌā huuñ
tū bhī koī Thokar hī lagāne ke liye aa
phūloñ kā taqāzā to nahīñ dast-e-karam se
kāñTe mirī rāhoñ meñ bichhāne ke liye aa
ho tanz kī bārish bhī tavajjoh kī adā se
ai abr-e-karam aag lagāne ke liye aa
ab ḳhud ko bhulā.ūñ ki tujhe yaad karūñ maiñ
ai hāsil-e-ġham itnā batāne ke liye aa
likkhā hai mirā naam tire dil ke varq par
maiñ harf-e-ġhalat huuñ to miTāne ke liye aa
har zaḳhm dil-e-'badr' ko ik taaza ḳhalish de
lau bujhte charāġhoñ kī baḌhāne ke liye aa
paiman-e-wafa toD ke jaane ke liye aa
aa dil ki lagi aur baDhane ke liye aa
pamal hi kar zulm hi Dhane ke liye aa
mujh ko mera ehsas dilane ke liye aa
nau-KHez bahaaron se mere dil ko saja de
zaKHmon ke nae phul khilane ke liye aa
kab se gham-e-haalat ki rahon mein paDa hun
tu bhi koi Thokar hi lagane ke liye aa
phulon ka taqaza to nahin dast-e-karam se
kanTe meri rahon mein bichhane ke liye aa
ho tanz ki barish bhi tawajjoh ki ada se
ai abr-e-karam aag lagane ke liye aa
ab KHud ko bhulaun ki tujhe yaad karun main
ai hasil-e-gham itna batane ke liye aa
likkha hai mera nam tere dil ke warq par
main harf-e-ghalat hun to miTane ke liye aa
har zaKHm dil-e-'badr' ko ek taza KHalish de
lau bujhte charaghon ki baDhane ke liye aa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.