paimana-e-haal ho gae hum
paimāna-e-hāl ho ga.e ham
gardish meñ misāl ho ga.e ham
takmīl-e-kamāl hote hote
tamhīd-e-zavāl ho ga.e ham
imkān-e-vajūd ke safar par
nikle to muhāl ho ga.e ham
ā.īna-e-karb lafz-o-ma.anī
farhañg-e-malāl ho ga.e ham
pahle to rahe haqīqat afroz
phir ḳhvāb-o-ḳhayāl ho ga.e ham
paimana-e-haal ho gae hum
gardish mein misal ho gae hum
takmil-e-kamal hote hote
tamhid-e-zawal ho gae hum
imkan-e-wajud ke safar par
nikle to muhaal ho gae hum
aaina-e-karb lafz-o-mani
farhang-e-malal ho gae hum
pahle to rahe haqiqat afroz
phir KHwab-o-KHayal ho gae hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.