paimane mein ab mere wafa kaun bharega
paimāne meñ ab mere vafā kaun bharegā
ai jān-e-vafā tū hī batā kaun bharegā
ye baat ajab hai ki tujhe bhuul sakūñgā
dam terī vafāoñ se sivā kaun bharegā
huuñ tishna-lab-e-āb-e-baqā shauq-e-baqā sun
kuuze meñ mire āb-e-baqā kaun bharegā
be-rañg sī tasvīr huuñ ik tere binā maiñ
tasvīr meñ ab rang nayā kaun bharegā
shāmeñ mirī rangīn rahīñ dil ke jahāñ kī
tāroñ se mire dil kā ḳhalā kaun bharegā
ai tund havāo use kah do ye ḳhudārā
jo terī thī vo ḳhālī jagah kaun bharegā
paimane mein ab mere wafa kaun bharega
ai jaan-e-wafa tu hi bata kaun bharega
ye baat ajab hai ki tujhe bhul sakunga
dam teri wafaon se siwa kaun bharega
hun tishna-lab-e-ab-e-baqa shauq-e-baqa sun
kuze mein mere aab-e-baqa kaun bharega
be-rang si taswir hun ek tere bina main
taswir mein ab rang naya kaun bharega
shamen meri rangin rahin dil ke jahan ki
taron se mere dil ka KHala kaun bharega
ai tund hawao use kah do ye KHudara
jo teri thi wo KHali jagah kaun bharega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.