pair dahliz pe rakhte hue Dar lagta hai
pair dahlīz pe rakhte hue Dar lagtā hai
aap ke ghar meñ siyāsat kā asar lagtā hai
merā qātil jo mire ḳhuun se tar lagtā hai
sar uThā.e to hai sharminda magar lagtā hai
aaj ke daur kā har shaḳhs niDar hai lekin
phir bhī insān ko insān se Dar lagtā hai
ham buzurgoñ kī rivāyāt bhulā baiThe haiñ
vaqt kī tīra-ravī kā ye asar lagtā hai
laakh ehsān karūñ naam nahīñ hotā hai
kitnā ehsān-farāmosh bashar lagtā hai
aisā fankār ne patthar kā muqaddar badlā
kal jo patthar thā vahī aaj guhar lagtā hai
barq rah rah ke chamaktī hai jahāñ par ai 'qamar'
ġhaur se dekh zarā terā hī ghar lagtā hai
pair dahliz pe rakhte hue Dar lagta hai
aap ke ghar mein siyasat ka asar lagta hai
mera qatil jo mere KHun se tar lagta hai
sar uThae to hai sharminda magar lagta hai
aaj ke daur ka har shaKHs niDar hai lekin
phir bhi insan ko insan se Dar lagta hai
hum buzurgon ki riwayat bhula baiThe hain
waqt ki tira-rawi ka ye asar lagta hai
lakh ehsan karun nam nahin hota hai
kitna ehsan-faramosh bashar lagta hai
aisa fankar ne patthar ka muqaddar badla
kal jo patthar tha wahi aaj guhar lagta hai
barq rah rah ke chamakti hai jahan par ai 'qamar'
ghaur se dekh zara tera hi ghar lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.