pairahan-e-tilism-e-bahaaran ki KHair ho
pairāhan-e-tilism-e-bahārāñ kī ḳhair ho
ahl-e-junūñ ke tār-e-garebāñ kī ḳhair ho
gulshan meñ aa ke lauT ga.ī hai bahār-e-nau
sab kah rahe haiñ dasht-o-bayābāñ kī ḳhair ho
saudā-e-sar yahāñ hai vahāñ nāz-e-husn hai
is sar kī ḳhair yā dar-e-jānāñ kī ḳhair ho
hone lage haiñ ahl-e-nazar ab junūñ-navāz
ahl-e-ḳhirad tumhāre shabistāñ kī ḳhair ho
un kī nigāh-e-nāz uThī hai isī tarah
'sābir' tumhāre sabr ke dāmāñ kī ḳhair ho
pairahan-e-tilism-e-bahaaran ki KHair ho
ahl-e-junun ke tar-e-gareban ki KHair ho
gulshan mein aa ke lauT gai hai bahaar-e-nau
sab kah rahe hain dasht-o-bayaban ki KHair ho
sauda-e-sar yahan hai wahan naz-e-husn hai
is sar ki KHair ya dar-e-jaanan ki KHair ho
hone lage hain ahl-e-nazar ab junun-nawaz
ahl-e-KHirad tumhaare shabistan ki KHair ho
un ki nigah-e-naz uThi hai isi tarah
'sabir' tumhaare sabr ke daman ki KHair ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.