paise hote to tujhe le ke khilaune deta
paise hote to tujhe le ke khilaune detā
varna kyā maiñ mere bachche tujhe rone detā
hoñT par rakhtā hai añgusht-e-shahādat aise
baat merī vo mukammal nahīñ hone detā
hai to muflis vo magar apnī davā.ī se kabhī
ḳharch ahbāb ke paise nahīñ hone detā
aisā karne kī bhī baḳhshī na ijāzat us ne
kam se kam dard to sheroñ meñ samone detā
mere beTe koī chāra hī nahīñ thā varna
apne hisse ke tujhe bojh na Dhone detā
dukh bhī detā hai to detā hai qayāmat ke mujhe
aur mirī aañkh bhī giilī nahīñ hone detā
beTiyoñ kā kabhī ghar-bār na ujḌe 'ġhaznī'
ye vo dukh hai jo nahīñ baap ko sone detā
paise hote to tujhe le ke khilaune deta
warna kya main mere bachche tujhe rone deta
honT par rakhta hai angusht-e-shahadat aise
baat meri wo mukammal nahin hone deta
hai to muflis wo magar apni dawai se kabhi
KHarch ahbab ke paise nahin hone deta
aisa karne ki bhi baKHshi na ijazat us ne
kam se kam dard to sheron mein samone deta
mere beTe koi chaara hi nahin tha warna
apne hisse ke tujhe bojh na Dhone deta
dukh bhi deta hai to deta hai qayamat ke mujhe
aur meri aankh bhi gili nahin hone deta
beTiyon ka kabhi ghar-bar na ujDe 'ghazni'
ye wo dukh hai jo nahin bap ko sone deta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.