paiwand-e-nau zamin ki rida se laga diya
paivand-e-nau zamīñ kī ridā se lagā diyā
maiñ hissa-e-fanā thā fanā se milā diyā
pal meñ sameT lī hai sadī sī tavīl raat
phailā ke ek din ko zamāna banā diyā
us ne mujhe dikhā ke mirī samt dekh kar
titlī kā par hathelī pe rakh kar uḌā diyā
har vaqt ik ye dhun hai ki meñ tajziya karūñ
mujh ko mire junūn-e-tajassus ne kyā diyā
paiwand-e-nau zamin ki rida se laga diya
main hissa-e-fana tha fana se mila diya
pal mein sameT li hai sadi si tawil raat
phaila ke ek din ko zamana bana diya
us ne mujhe dikha ke meri samt dekh kar
titli ka par hatheli pe rakh kar uDa diya
har waqt ek ye dhun hai ki mein tajziya karun
mujh ko mere junun-e-tajassus ne kya diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.