pakDi kisi se jawe nasim aur saba bandhe
pakDi kisi se jawe nasim aur saba bandhe
Insha Allah Khan Insha
MORE BYInsha Allah Khan Insha
pakḌī kisī se jaave nasīm aur sabā bañdhe
maulā kare kuchh apnī bhī ab to havā bañdhe
'āshiq ko boġh-band meñ bāñdhā hai us ne yuuñ
tā ho ke dast-e-buqcha meñ jaise qabā bañdhe
yuuñ duud aah kā mirī gumbad bañdhā hai yaañ
chhat jaise abr-e-tīra kī tahtussamā bañdhe
Tuk 'ālam ai junūñ tū dikhā vo ki jis se saaf
lāhūt kā samāñ mirī āñkhoñ meñ aa bañdhe
sarmā ghulā ke āñkhoñ meñ niklā na kījiye
aisā na ho ki aap pe kuchh tūtiyā bañdhe
qudrat ḳhudā ke dekho ki chorī to ham kareñ
aur ulTe dast-gīr ho duzd-e-hinā bañdhe
aljheḌe meñ phañse the tirī zulf ke so vo
ulTe Tañge asiir hue bārhā bañdhe
'inshā' sad-āfrīñ tire zehn-e-salīm ko
mazmūñ ziyāda is se bhalā aur kyā bañdhe
pakDi kisi se jawe nasim aur saba bandhe
maula kare kuchh apni bhi ab to hawa bandhe
'ashiq ko bogh-band mein bandha hai us ne yun
ta ho ke dast-e-buqcha mein jaise qaba bandhe
yun dud aah ka meri gumbad bandha hai yan
chhat jaise abr-e-tira ki tahtussama bandhe
Tuk 'alam ai junun tu dikha wo ki jis se saf
lahut ka saman meri aankhon mein aa bandhe
sarma ghula ke aankhon mein nikla na kijiye
aisa na ho ki aap pe kuchh tutiya bandhe
qudrat KHuda ke dekho ki chori to hum karen
aur ulTe dast-gir ho duzd-e-hina bandhe
aljheDe mein phanse the teri zulf ke so wo
ulTe Tange asir hue barha bandhe
'insha' sad-afrin tere zehn-e-salim ko
mazmun ziyaada is se bhala aur kya bandhe
- Kulliyat-e-inshaallah khan insha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.