pakDi na thi kitab ki ustad ho gae
pakḌī na thī kitāb ki ustād ho ga.e
haath aa ga.ī ġhulail to sayyād ho ga.e
le ham ne khol dī haiñ ye āñkheñ shu.ūr kī
le ham tire fareb se āzād ho ga.e
tū ne ai zindagī jo sikhā.e hameñ sabaq
āsānī se hameñ vo sabaq yaad ho ga.e
duniyā se Dar ga.e jo vo duniyā meñ gum hue
karte rahe jo ishq vo farhād ho ga.e
yādeñ tirī hameñ liye pahuñchī thiiñ jis jagah
ham phir usī jazīre pe ābād ho ga.e
maslūb ho ga.e jinheñ matlab thā ishq se
daulat kī thī talab jinheñ shaddād ho ga.e
ya.anī ki ishq chhoḌ ke sab kuchh kiyā gayā
kyā kyā tarīqe ishq ke ījād ho ga.e
ta.amīr yuuñ hue the ki hairān the mahal
ujḌe bhī yuuñ ki sūrat-e-baġhdād ho ga.e
tum ko bhulā na pā.egī tārīḳh ab kabhī
'āqib' tum ab havāla-e-buniyād ho ga.e
pakDi na thi kitab ki ustad ho gae
hath aa gai ghulail to sayyaad ho gae
le hum ne khol di hain ye aankhen shuur ki
le hum tere fareb se aazad ho gae
tu ne ai zindagi jo sikhae hamein sabaq
aasani se hamein wo sabaq yaad ho gae
duniya se Dar gae jo wo duniya mein gum hue
karte rahe jo ishq wo farhad ho gae
yaaden teri hamein liye pahunchi thin jis jagah
hum phir usi jazire pe aabaad ho gae
maslub ho gae jinhen matlab tha ishq se
daulat ki thi talab jinhen shaddad ho gae
yani ki ishq chhoD ke sab kuchh kiya gaya
kya kya tariqe ishq ke ijad ho gae
tamir yun hue the ki hairan the mahal
ujDe bhi yun ki surat-e-baghdad ho gae
tum ko bhula na paegi tariKH ab kabhi
'aqib' tum ab hawala-e-buniyaad ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.