pal bhar kī muskān de jogī
duniyā phuul samān re jogī
sukh to hai bas ek chhalāvā
mast ho yuuñ halkān re jogī
jhūTī hai kul duniyā lekin
sachchā hai insān re jogī
man mandir jo rang bharā thā
ab to hai sunsān re jogī
gulshan gulshan mahak rahe haiñ
zaḳhm mire pahchān re jogī
raaj kā peT bhareñge kaise
bhūke haiñ khaliyān re jogī
pal bhar ki muskan de jogi
duniya phul saman re jogi
sukh to hai bas ek chhalawa
mast ho yun halkan re jogi
jhuTi hai kul duniya lekin
sachcha hai insan re jogi
man mandir jo rang bhara tha
ab to hai sunsan re jogi
gulshan gulshan mahak rahe hain
zaKHm mere pahchan re jogi
raj ka peT bharenge kaise
bhuke hain khaliyan re jogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.