pal KHushi ke to kabhi aankh mein pani dega
pal ḳhushī ke to kabhī aañkh meñ paanī degā
vaqt har roz na.ī ek kahānī degā
dil mire chheḌ na tū phir vo purāne qisse
zikr-e-māzī mujhe bas ashk-fishānī degā
peḌ kīkar ke bhī ā.eñge kahīñ rāhoñ meñ
har jagah to vo nahīñ raat kī raanī degā
zindagī ek jagah par hī rukī hai kab se
jaane ab kab vo use aa ke ravānī degā
bas isī aas pe aTkī hai mirī jaan ab tak
koī to rut vo kabhī mujh ko suhānī degā
lauT aa.egā vo mausam hai bharosa ye mujhe
phir mire baaġh ko vo rang-fishānī degā
dil se kahne kī to koshish to zarā kar 'madhuman'
tere alfāz ko phir ḳhud vo ma.ānī degā
pal KHushi ke to kabhi aankh mein pani dega
waqt har roz nai ek kahani dega
dil mere chheD na tu phir wo purane qisse
zikr-e-mazi mujhe bas ashk-fishani dega
peD kikar ke bhi aaenge kahin rahon mein
har jagah to wo nahin raat ki rani dega
zindagi ek jagah par hi ruki hai kab se
jaane ab kab wo use aa ke rawani dega
bas isi aas pe aTki hai meri jaan ab tak
koi to rut wo kabhi mujh ko suhani dega
lauT aaega wo mausam hai bharosa ye mujhe
phir mere bagh ko wo rang-fishani dega
dil se kahne ki to koshish to zara kar 'madhuman'
tere alfaz ko phir KHud wo maani dega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.