pal mein samundar pal mein kinara ban jata hai
pal meñ samundar pal meñ kinārā ban jaatā hai
ishq ko jaisā samjho vaisā ban jaatā hai
ahl-e-tamannā chup rahne meñ ḳhair na jāneñ
ḳhāmoshī se bhī afsāna ban jaatā hai
paas aao to aaḌī tirchhī chañd lakīreñ
duur se dekho to ik chehrā ban jaatā hai
duniyā ke mele meñ aa nikle ho pyāre
dekh ke chalnā varna tamāshā ban jaatā hai
chain aaya to terī sūrat dhyān meñ utrī
Thahrā huā paanī ā.īna ban jaatā hai
sub.h ko terī yaad jagāne aa jaatī hai
raat ko terā dhyān bichhaunā ban jaatā hai
vo kis kā hai ye duniyā ko ḳhabar nahīñ hai
jo us se miltā hai usī kā ban jaatā hai
maiñ apne alfāz ke pīchhe chhup jaatā huuñ
merā suḳhan hī merā chehrā ban jaatā hai
pal mein samundar pal mein kinara ban jata hai
ishq ko jaisa samjho waisa ban jata hai
ahl-e-tamanna chup rahne mein KHair na jaanen
KHamoshi se bhi afsana ban jata hai
pas aao to aaDi tirchhi chand lakiren
dur se dekho to ek chehra ban jata hai
duniya ke mele mein aa nikle ho pyare
dekh ke chalna warna tamasha ban jata hai
chain aaya to teri surat dhyan mein utri
Thahra hua pani aaina ban jata hai
subh ko teri yaad jagane aa jati hai
raat ko tera dhyan bichhauna ban jata hai
wo kis ka hai ye duniya ko KHabar nahin hai
jo us se milta hai usi ka ban jata hai
main apne alfaz ke pichhe chhup jata hun
mera suKHan hi mera chehra ban jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.