pal rahe hain kitne andeshe dilon ke darmiyan
pal rahe haiñ kitne andeshe diloñ ke darmiyāñ
raat kī parchhā.iyāñ jaise diyoñ ke darmiyāñ
phir kisī ne ek ḳhūñ-ālūd ḳhanjar rakh diyā
ḳhauf ke zulmat-kade meñ dostoñ ke darmiyāñ
kyā sunahrī daur thā ham zard pattoñ kī tarah
dar-ba-dar phirte rahe piilī rutoñ ke darmiyāñ
ai ḳhudā insān kī taqsīm-dar-taqsīm dekh
pārsāoñ devtāoñ qātiloñ ke darmiyāñ
āshtī ke naam par itnī saf-ārā.ī huī
aa ga.ī bārūd kī ḳhush-bū guloñ ke darmiyāñ
merā chehrā ḳhud bhī āshob-e-safar meñ kho gayā
maiñ ye kis ko DhūñDtā huuñ manziloñ ke darmiyāñ
pal rahe hain kitne andeshe dilon ke darmiyan
raat ki parchhaiyan jaise diyon ke darmiyan
phir kisi ne ek KHun-alud KHanjar rakh diya
KHauf ke zulmat-kade mein doston ke darmiyan
kya sunahri daur tha hum zard patton ki tarah
dar-ba-dar phirte rahe pili ruton ke darmiyan
ai KHuda insan ki taqsim-dar-taqsim dekh
parsaon dewtaon qatilon ke darmiyan
aashti ke nam par itni saf-arai hui
aa gai barud ki KHush-bu gulon ke darmiyan
mera chehra KHud bhi aashob-e-safar mein kho gaya
main ye kis ko DhunDta hun manzilon ke darmiyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.