palak jhukae hue etiraf karte hue
palak jhukā.e hue e'tirāf karte hue
maiñ but banā rahā tujh ko muaaf karte hue
charāġh tere bhī ghar meñ haiñ yaad rakh qātil
havā-e-shahr ko mere ḳhilāf karte hue
mire qarīb hai sayyāra ġham kā gardish meñ
tavāf karne lagā hai tavāf karte hue
malāl-e-shahr zarā duur hai ai shahr-e-malāl
mujhe sameT le ḳhud ko ġhilāf karte hue
bahār mujh se ḳhafā maiñ bahār se nārāz
chaman meñ donoñ paḌe iḳhtilāf karte hue
tumhārī yaad meñ 'naqqāsh' jhilmilāte rahe
tulūa hote nujūm inhirāf karte hue
palak jhukae hue e'tiraf karte hue
main but bana raha tujh ko muaf karte hue
charagh tere bhi ghar mein hain yaad rakh qatil
hawa-e-shahr ko mere KHilaf karte hue
mere qarib hai sayyara gham ka gardish mein
tawaf karne laga hai tawaf karte hue
malal-e-shahr zara dur hai ai shahr-e-malal
mujhe sameT le KHud ko ghilaf karte hue
bahaar mujh se KHafa main bahaar se naraaz
chaman mein donon paDe iKHtilaf karte hue
tumhaari yaad mein 'naqqash' jhilmilate rahe
tulua hote nujum inhiraf karte hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.