palak maiñ apnī pakaḌ na paa.ī
qarīb thī so nazar na aa.ī
jo chun liyā vo nahīñ thā chāhā
jo chāhiye thā na thī rasā.ī
kabhī nahīñ thī davā purānī
na.ī na.ī thī kabhī shifā.ī
shajar ghanā ho gayā hai dil kā
tavīl Daalī kī kar chhañTā.ī
palak main apni pakaD na pai
qarib thi so nazar na aai
jo chun liya wo nahin tha chaha
jo chahiye tha na thi rasai
kabhi nahin thi dawa purani
nai nai thi kabhi shifai
shajar ghana ho gaya hai dil ka
tawil Dali ki kar chhanTai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.