Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

palak se aa lage kai jugnu jagmagate hue

Kuldeep Kumar

palak se aa lage kai jugnu jagmagate hue

Kuldeep Kumar

MORE BYKuldeep Kumar

    palak se aa lage ka.ī jugnū jagmagāte hue

    kisī ne dekhā hameñ aise muskurāte hue

    maiñ chāhtā huuñ ki vo bhī ḳhushī meñ shāmil ho

    so rone lagtā huuñ aksar ḳhushī manāte hue

    ajiib ḳhauf añdhere mujh ko thā us raat

    pasīne aa ga.e mujh ko diyā bujhāte hue

    hameñ bhī jaise achānak ghar yaad aa.ī

    parinde shaam ko jab guzre chahchahāte hue

    vo ek rut musāfir thā rokte bhī kyā

    ham us ko dekh sakte the duur jaate hue

    nigāh-e-lams se ab us ko dekhnā thā hameñ

    so aañkh muuñd us ke qarīb jaate hue

    phir uñgliyoñ se mirī risne lag gayā paanī

    safed kāġhazoñ par machhliyāñ banāte hue

    palak se aa lage kai jugnu jagmagate hue

    kisi ne dekha hamein aise muskuraate hue

    main chahta hun ki wo bhi KHushi mein shamil ho

    so rone lagta hun aksar KHushi manate hue

    ajib KHauf andhere ka mujh ko tha us raat

    pasine aa gae mujh ko diya bujhate hue

    hamein bhi jaise achanak hi ghar ki yaad aai

    parinde sham ko jab guzre chahchahate hue

    wo ek rut ka musafir tha rokte bhi kya

    hum us ko dekh hi sakte the dur jate hue

    nigah-e-lams se ab us ko dekhna tha hamein

    so aankh mund li us ke qarib jate hue

    phir ungliyon se meri risne lag gaya pani

    safed kaghazon par machhliyan banate hue

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now