palak se ek ishaara bas kiye jate to ruk jate
palak se ek ishaara bas kiye jate to ruk jate
Om Bhutkar Maghloob
MORE BYOm Bhutkar Maghloob
palak se ik ishāra bas kiye jaate to ruk jaate
nikalte dam ḳhafā ho kar nahīñ aate to ruk jaate
satāyā hī nahīñ tum ne zarā sā bhī kabhī ham ko
mehrbāñ tum kabhī ham par sitam Dhāte to ruk jaate
sunā ham ne tumheñ aksar ajab se giit gaate bas
kisī din ke kināre ik ġhazal gaate to ruk jaate
hameñ mahfil meñ rukne kā to thā bas ek hī rastā
vahāñ mahfil meñ jaate aur zahar khāte to ruk jaate
ye gul-daste ke badle meñ jahāñ milte the ham aksar
vahāñ ke peḌ kī pattī uThā laate to ruk jaate
palak se ek ishaara bas kiye jate to ruk jate
nikalte dam KHafa ho kar nahin aate to ruk jate
sataya hi nahin tum ne zara sa bhi kabhi hum ko
mehrban tum kabhi hum par sitam Dhate to ruk jate
suna hum ne tumhein aksar ajab se git gate bas
kisi din ke kinare ek ghazal gate to ruk jate
hamein mahfil mein rukne ka to tha bas ek hi rasta
wahan mahfil mein jate aur zahar khate to ruk jate
ye gul-daste ke badle mein jahan milte the hum aksar
wahan ke peD ki patti uTha late to ruk jate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.