palaT jaane ka KHatra ho agar bilkul kinare hi
palaT jaane kā ḳhatra ho agar bilkul kināre hī
shikasta naav phir dariyā meñ koī kyoñ utāre hī
vagarna faisla munsif hamāre haq meñ jā.egā
hamārā faisla karnā binā soche-vichāre hī
jise kahte haiñ sab duniyā ye vo bāzār hai jis meñ
mohabbat DhūñDhne vaale phireñge maare maare hī
ab aksar nafratoñ kī aag hī uThtī hai dhartī se
ab aksar āsmāñ se bhī baraste haiñ sharāre hī
zarūrat lab-kushā.ī kī nahīñ kuchh ḳhaas hai is meñ
mohabbat meñ ziyāda kaam aate haiñ ishāre hī
duā jab ḳhaas koī māñgnī hogī hameñ us vaqt
gireñge baal palkoñ se na TūTeñge sitāre hī
mohabbat kī tarah ham se siyāsat pesh aatī hai
na rakhtī hai qarīb apne na kartī hai kināre hī
ḳhushī kā aasrā hogā yahāñ mushkil se pal-do-pal
kaTegī umr duniyā meñ faqat ġham ke sahāre hī
mohabbat meñ nazar tum par nahīñ jā.egī duniyā kī
sabhī ilzām rakkhe jā.eñge sar par hamāre hī
kahāñ se lā.eñge itnā bujhāne ke liye paanī
zamīñ par dikhte haiñ har-sū hameñ jalte nazāre hī
mohabbat bechne niklo faqat is shart par 'balvant'
lageñge haath is byopār meñ keval ḳhasāre hī
palaT jaane ka KHatra ho agar bilkul kinare hi
shikasta naw phir dariya mein koi kyon utare hi
wagarna faisla munsif hamare haq mein jaega
hamara faisla karna bina soche-wichaare hi
jise kahte hain sab duniya ye wo bazar hai jis mein
mohabbat DhunDhne wale phirenge mare mare hi
ab aksar nafraton ki aag hi uThti hai dharti se
ab aksar aasman se bhi baraste hain sharare hi
zarurat lab-kushai ki nahin kuchh KHas hai is mein
mohabbat mein ziyaada kaam aate hain ishaare hi
dua jab KHas koi mangni hogi hamein us waqt
girenge baal palkon se na TuTenge sitare hi
mohabbat ki tarah hum se siyasat pesh aati hai
na rakhti hai qarib apne na karti hai kinare hi
KHushi ka aasra hoga yahan mushkil se pal-do-pal
kaTegi umr duniya mein faqat gham ke sahaare hi
mohabbat mein nazar tum par nahin jaegi duniya ki
sabhi ilzam rakkhe jaenge sar par hamare hi
kahan se laenge itna bujhane ke liye pani
zamin par dikhte hain har-su hamein jalte nazare hi
mohabbat bechne niklo faqat is shart par 'balwant'
lagenge hath is byopar mein kewal KHasare hi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.