palaT ke aankh ke pardon pe sar jhukate hon
palaT ke aañkh ke pardoñ pe sar jhukāte hoñ
ham aise ḳhvāb nahīñ haiñ jo aate jaate hoñ
guzartī raat ke pairoñ meñ kāñch ke taare
ajab nahīñ jo kisī aañkh meñ samāte hoñ
badan ko chīrtī bārish ho aur aise meñ
ham apne rang liye ḳhāk-dāñ sajāte hoñ
zamīñ ko ġhaur se dekhūñ to ḳhauf aatā hai
ki jaise log yahāñ āsmāñ banāte hoñ
palaT ke aankh ke pardon pe sar jhukate hon
hum aise KHwab nahin hain jo aate jate hon
guzarti raat ke pairon mein kanch ke tare
ajab nahin jo kisi aankh mein samate hon
badan ko chirti barish ho aur aise mein
hum apne rang liye KHak-dan sajate hon
zamin ko ghaur se dekhun to KHauf aata hai
ki jaise log yahan aasman banate hon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.