palaT ke milne ka wada kare to ruk jaun
palaT ke milne kā va.ada kare to ruk jā.ūñ
zarā sī terī mohabbat mile to ruk jā.ūñ
ḳhayāl-o-ḳhvāb kī duniyā se tum nikal aao
haqīqatoñ kā koī dar khule to ruk jā.ūñ
ajab safar hai ki sāmān-e-dil-lagī bhī nahīñ
tire badan kī harārat mile to ruk jā.ūñ
tire sivā nahīñ koī bhī chārasāz mirā
fasāna-e-ġham-e-dil tū sune to ruk jā.ūñ
maiñ nafratoñ ke añdhere meñ huuñ qayām-pazīr
tumhāre pyaar kā sūraj uge to ruk jā.ūñ
har ek samt hai 'ajmal' adāvatoñ kā samāñ
vafā ḳhulūs kā dariyā bahe to ruk jā.ūñ
palaT ke milne ka wada kare to ruk jaun
zara si teri mohabbat mile to ruk jaun
KHayal-o-KHwab ki duniya se tum nikal aao
haqiqaton ka koi dar khule to ruk jaun
ajab safar hai ki saman-e-dil-lagi bhi nahin
tere badan ki hararat mile to ruk jaun
tere siwa nahin koi bhi chaarasaz mera
fasana-e-gham-e-dil tu sune to ruk jaun
main nafraton ke andhere mein hun qayam-pazir
tumhaare pyar ka suraj uge to ruk jaun
har ek samt hai 'ajmal' adawaton ka saman
wafa KHulus ka dariya bahe to ruk jaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.