palken ujaD dil hai bujha ruh so gai
palkeñ ujaaḌ dil hai bujhā ruuh so ga.ī
ro.e hue bhī yaaro bahut der ho ga.ī
ik vo sadā thī apne to jiine kā hausla
is zindagī ke shor meñ ab vo bhī kho ga.ī
aa.ī to jaise hone lagā matla-e-ġhazal
baiThī to jaise nazm kī takmīl ho ga.ī
kahte the ab na ā.eñge nazroñ ke jaal meñ
mauj-e-nasīm zehn se har azm dho ga.ī
kho.e haiñ us ke sehr meñ hī ahl-e-kārvāñ
us kī nazar jo vaqt-e-safar rañg bo ga.ī
uf ye diloñ meñ phaile ḳhalāoñ kī vus.ateñ
kaise kaheñ ḳhalāoñ kī tasḳhīr ho ga.ī
maiñ huuñ shikār-e-fitna-e-ehsās-e-rañg 'shām'
kis tarah ek jism kī taqsīm ho ga.ī
palken ujaD dil hai bujha ruh so gai
roe hue bhi yaro bahut der ho gai
ek wo sada thi apne to jine ka hausla
is zindagi ke shor mein ab wo bhi kho gai
aai to jaise hone laga matla-e-ghazal
baiThi to jaise nazm ki takmil ho gai
kahte the ab na aaenge nazron ke jal mein
mauj-e-nasim zehn se har azm dho gai
khoe hain us ke sehr mein hi ahl-e-karwan
us ki nazar jo waqt-e-safar rang bo gai
uf ye dilon mein phaile KHalaon ki wusaten
kaise kahen KHalaon ki tasKHir ho gai
main hun shikar-e-fitna-e-ehsas-e-rang 'sham'
kis tarah ek jism ki taqsim ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.