palken uThin nigah mili baat ho gai
palkeñ uThīñ nigāh milī baat ho ga.ī
donoñ taraf se pursish-e-hālāt ho ga.ī
halkī sī raushnī bhī nahīñ duur duur tak
furqat kī raat kitnī baḌī raat ho ga.ī
rāh-e-junūñ meñ be-kas-o-tanhā chalā thā maiñ
hamrāh dil ke gardish-e-hālāt ho ga.ī
ye husn-e-ittifāq ki tum aa ga.e idhar
ḳhush-qismatī ki tum se mulāqāt ho ga.ī
ye vaqt aa gayā hai mirī be-kasī kī ḳhair
har ik se pūchhtā huuñ kahāñ raat ho ga.ī
ai chashm-e-intizār ye kyā e'tibār hai
vo aa chuke aur un se mulāqāt ho ga.ī
ai 'shauq' us ko hāsil-e-umr-e-ravāñ samajh
vo zindagī jo nazr-e-ḳharābāt ho ga.ī
palken uThin nigah mili baat ho gai
donon taraf se pursish-e-haalat ho gai
halki si raushni bhi nahin dur dur tak
furqat ki raat kitni baDi raat ho gai
rah-e-junun mein be-kas-o-tanha chala tha main
hamrah dil ke gardish-e-haalat ho gai
ye husn-e-ittifaq ki tum aa gae idhar
KHush-qismati ki tum se mulaqat ho gai
ye waqt aa gaya hai meri be-kasi ki KHair
har ek se puchhta hun kahan raat ho gai
ai chashm-e-intizar ye kya e'tibar hai
wo aa chuke aur un se mulaqat ho gai
ai 'shauq' us ko hasil-e-umr-e-rawan samajh
wo zindagi jo nazr-e-KHarabaat ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.