palkon ke tale jhil chhupae hue hun main
palkoñ ke tale jhiil chhupā.e hue huuñ maiñ
haañ dard ke dariyā meñ nahā.e hue huuñ maiñ
āñdhī kā ujāloñ se idhar raag chhiḌā hai
aur ḳhvāhishoñ ke diip jalā.e hue huuñ maiñ
hairān huuñ ye aa.ine meñ kaun hai mujh sā
muddat huī hai ḳhud ko bhulā.e hue huuñ maiñ
ye ḳhvāb kī fasleñ ye ḳhayāloñ ke baġhīche
mausam kī nigāhoñ se bachā.e hue huuñ maiñ
tūfān to dafnā liyā hai apne laboñ meñ
par kuchh hañsī ke phuul sajā.e hue huuñ maiñ
palkon ke tale jhil chhupae hue hun main
han dard ke dariya mein nahae hue hun main
aandhi ka ujalon se idhar rag chhiDa hai
aur KHwahishon ke dip jalae hue hun main
hairan hun ye aaine mein kaun hai mujh sa
muddat hui hai KHud ko bhulae hue hun main
ye KHwab ki faslen ye KHayalon ke baghiche
mausam ki nigahon se bachae hue hun main
tufan to dafna liya hai apne labon mein
par kuchh hansi ke phul sajae hue hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.