palkon ki nok se utarte rahe
palkoñ kī nok se utarte rahe
is qadar ashk-e-ḳhvāb girte rahe
chāñd kī tarah raat jaage rahe
aur hamāre nasīb sote rahe
dost kaise nikalte pahlū se
saañp jo āstīñ meñ palte rahe
sharm-gīñ lahjoñ kī tamāzatoñ meñ
shab ke māthe pe phuul khilte rahe
jab koī ghar nahīñ rahā merā
mehrbāñ phir adū ke ḳheme rahe
un se to vo gurez-pā nahīñ hai
ham se achchhe havā ke jhoñke rahe
hijr kī āñdhiyoñ meñ bhī jānāñ
mo'atabar tere shoḳh lahje rahe
din to barsāt ke nahīñ the magar
ek ḳhushbū meñ phuul bhīge rahe
vo nazar kyā jhukī hamāre liye
umr-bhar dil ke taar uljhe rahe
talḳh-kāmī rahī vafāoñ maiñ
phal kahāñ is shajar ke mīThe rahe
is qadar pur-malāl mausam thā
zehn ke por-por jalte rahe
raat yādoñ ke band kamre meñ
ek tasvīr thāme kho.e rahe
ret ke pairahan meñ lipTe hue
kis qadar be-libās va.ade rahe
zindagī kī asaas the jo log
had hai un ke baġhair jiite rahe
ishtihā jhuuT thī nigāhoñ kī
bā-vafā bas nazar ke dhoke rahe
ham ko ehsās tujh se mil ke huā
kitne tere baġhair adhūre rahe
sāhiloñ par bane gharoñdoñ ke
kuchh ajīb-o-ġharīb da.ave rahe
hasrat-e-dil zabāñ pe laane tak
maslahat ke hazāroñ parde rahe
palkon ki nok se utarte rahe
is qadar ashk-e-KHwab girte rahe
chand ki tarah raat jage rahe
aur hamare nasib sote rahe
dost kaise nikalte pahlu se
sanp jo aastin mein palte rahe
sharm-gin lahjon ki tamazaton mein
shab ke mathe pe phul khilte rahe
jab koi ghar nahin raha mera
mehrban phir adu ke KHeme rahe
un se to wo gurez-pa nahin hai
hum se achchhe hawa ke jhonke rahe
hijr ki aandhiyon mein bhi jaanan
mo'atabar tere shoKH lahje rahe
din to barsat ke nahin the magar
ek KHushbu mein phul bhige rahe
wo nazar kya jhuki hamare liye
umr-bhar dil ke tar uljhe rahe
talKH-kaami rahi wafaon main
phal kahan is shajar ke miThe rahe
is qadar pur-malal mausam tha
zehn ke por-por jalte rahe
raat yaadon ke band kamre mein
ek taswir thame khoe rahe
ret ke pairahan mein lipTe hue
kis qadar be-libas wade rahe
zindagi ki asas the jo log
had hai un ke baghair jite rahe
ishtiha jhuT thi nigahon ki
ba-wafa bas nazar ke dhoke rahe
hum ko ehsas tujh se mil ke hua
kitne tere baghair adhure rahe
sahilon par bane gharondon ke
kuchh ajib-o-gharib dawe rahe
hasrat-e-dil zaban pe lane tak
maslahat ke hazaron parde rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.