palkon ki oT mein wo chhupa le gaya mujhe
palkoñ kī oT meñ vo chhupā le gayā mujhe
ya.anī nazar nazar se bachā le gayā mujhe
ab us ko apnī haar kahūñ yā kahūñ maiñ jiit
rūThā huā thā maiñ vo manā le gayā mujhe
muddat se ek raat bhī apnī nahīñ huī
har shaam koī aayā uThā le gayā mujhe
ho vāpsī agar to inheñ rāstoñ se ho
jin rāstoñ se pyaar tirā le gayā mujhe
ik jān-dār laash samajhiye mirā vajūd
ab kyā dharā hai koī churā le gayā mujhe
āvāgaman kī qaid se kyā chhūTtā kabhī
bas terā pyaar thā jo chhuḌā le gayā mujhe
dhartī kā ye safar mirā jis din huā tamām
jhoñkā havā kā aayā uḌā le gayā mujhe
tūfāñ ke baa'd maiñ bhī bahut TuuT sā gayā
dariyā phir apne ruḳh pe bahā le gayā mujhe
muddat ke baa'd 'nūr' hañsī lab pe aa.ī hai
vo apnā ham-ḳhayāl banā le gayā mujhe
palkon ki oT mein wo chhupa le gaya mujhe
yani nazar nazar se bacha le gaya mujhe
ab us ko apni haar kahun ya kahun main jit
ruTha hua tha main wo mana le gaya mujhe
muddat se ek raat bhi apni nahin hui
har sham koi aaya uTha le gaya mujhe
ho wapsi agar to inhen raston se ho
jin raston se pyar tera le gaya mujhe
ek jaan-dar lash samajhiye mera wajud
ab kya dhara hai koi chura le gaya mujhe
aawagaman ki qaid se kya chhuTta kabhi
bas tera pyar tha jo chhuDa le gaya mujhe
dharti ka ye safar mera jis din hua tamam
jhonka hawa ka aaya uDa le gaya mujhe
tufan ke ba'd main bhi bahut TuT sa gaya
dariya phir apne ruKH pe baha le gaya mujhe
muddat ke ba'd 'nur' hansi lab pe aai hai
wo apna ham-KHayal bana le gaya mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.