palkon ko teri sharm se jhukta hua main dekhun
palkoñ ko terī sharm se jhuktā huā maiñ dekhūñ
dhaḌkan ko apne dil kī ruktā huā maiñ dekhūñ
piine kā shauq mujh ko hargiz nahīñ hai magar
qadmoñ ko mai-kade pe ruktā huā maiñ dekhūñ
yā-rab karam kī bārish ik baar aisī kar de
har phuul ko chaman meñ hañstā huā maiñ dekhūñ
jab bhī uTheñ duā kī ḳhātir ye haath mere
āñkhoñ ko āñsuoñ se bhartā huā maiñ dekhūñ
'tauqīr' mere rab kā kitnā karam hai mujh pe
ḳhushiyoñ ko sañg apne chaltā huā maiñ dekhūñ
palkon ko teri sharm se jhukta hua main dekhun
dhaDkan ko apne dil ki rukta hua main dekhun
pine ka shauq mujh ko hargiz nahin hai magar
qadmon ko mai-kade pe rukta hua main dekhun
ya-rab karam ki barish ek bar aisi kar de
har phul ko chaman mein hansta hua main dekhun
jab bhi uThen dua ki KHatir ye hath mere
aankhon ko aansuon se bharta hua main dekhun
'tauqir' mere rab ka kitna karam hai mujh pe
KHushiyon ko sang apne chalta hua main dekhun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.