palkon mein hi apna ashk sukhana hota hai
palkon mein hi apna ashk sukhana hota hai
Rajeev Riyaz Pratapgarhi
MORE BYRajeev Riyaz Pratapgarhi
palkoñ meñ hī apnā ashk sukhānā hotā hai
kuchh ḳhvāboñ ko zinda hī dafnānā hotā hai
jaanā paḌtā hai kis kis ke dar majbūrī meñ
lekin vo jaanā jaise mar jaanā hotā hai
Thiik usī pal mujh meñ chīḳhā kartā hai koī
jis dam merī nīñdoñ ko gahrānā hotā hai
qad chhoTā kar detī hai bas paane kī ḳhvāhish
jīvan meñ kuchh chīzoñ ko Thukrānā hotā hai
jitnī zillat sah kar siina taan ke chalte ho
utne meñ to logoñ ko mar jaanā hotā hai
palkon mein hi apna ashk sukhana hota hai
kuchh KHwabon ko zinda hi dafnana hota hai
jaana paDta hai kis kis ke dar majburi mein
lekin wo jaana jaise mar jaana hota hai
Thik usi pal mujh mein chiKHa karta hai koi
jis dam meri nindon ko gahrana hota hai
qad chhoTa kar deti hai bas pane ki KHwahish
jiwan mein kuchh chizon ko Thukrana hota hai
jitni zillat sah kar sina tan ke chalte ho
utne mein to logon ko mar jaana hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.