palkon par lahraya tha
palkoñ par lahrāyā thā
jhoñkā pahlī nidrā kā
lamhātī kaifiyyat kā
nashsha Dartā Dartā sā
ḳhush-raunaq sī sochoñ kā
saudā koī sar meñ thā
biitī rut kā ik jhoñkā
piilā rang gulāboñ kā
ujlī ujlī kirnoñ meñ
saaya shoḳh sarāboñ kā
nayā nayā sā ek imkāñ
chāroñ jānib phailā thā
ik gum-sum rūdād milī
jab bhī andar jhāñkā thā
mausam kī pahchān liye
manzar manzar raushan thā
ubhrā ubhrā sā aalam
Duubī sī āvāzoñ kā
dorāhe kī sochoñ meñ
rasta sīdhā sīdhā sā
shāyad na.ī kahānī meñ
qissa vahī purānā thā
terī yaad kī lazzat meñ
bhūlā sā ik va.ada thā
nainoñ meñ bhar laa.e haiñ
manzar laakh savāboñ kā
palkon par lahraya tha
jhonka pahli nidra ka
lamhati kaifiyyat ka
nashsha Darta Darta sa
KHush-raunaq si sochon ka
sauda koi sar mein tha
biti rut ka ek jhonka
pila rang gulabon ka
ujli ujli kirnon mein
saya shoKH sarabon ka
naya naya sa ek imkan
chaaron jaanib phaila tha
ek gum-sum rudad mili
jab bhi andar jhanka tha
mausam ki pahchan liye
manzar manzar raushan tha
ubhra ubhra sa aalam
Dubi si aawazon ka
dorahe ki sochon mein
rasta sidha sidha sa
shayad nai kahani mein
qissa wahi purana tha
teri yaad ki lazzat mein
bhula sa ek wada tha
nainon mein bhar lae hain
manzar lakh sawabon ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.