palkon pe koi KHwab sajaya nahin gaya
palkoñ pe koī ḳhvāb sajāyā nahīñ gayā
vo shaḳhs saarī umr bhulāyā nahīñ gayā
us ne bhī merī baat na maanī kabhī koī
mujh se bhī us kā naaz uThāyā nahīñ gayā
apnī anā kā bojh maiñ Dhotā rahā magar
sar us ke sañg-e-dar pe jhukāyā nahīñ gayā
be-chehragī hī ab mirī pahchān ban ga.ī
chehre pe koī chehra lagāyā nahīñ gayā
badnām ho na jaa.e kahīñ dostī tirī
palkoñ se apnī ashk girāyā nahīñ gayā
'betāb' us ke haal pe afsos kījiye
jis se ḳhud apnā dard chhupāyā nahīñ gayā
palkon pe koi KHwab sajaya nahin gaya
wo shaKHs sari umr bhulaya nahin gaya
us ne bhi meri baat na mani kabhi koi
mujh se bhi us ka naz uThaya nahin gaya
apni ana ka bojh main Dhota raha magar
sar us ke sang-e-dar pe jhukaya nahin gaya
be-chehragi hi ab meri pahchan ban gai
chehre pe koi chehra lagaya nahin gaya
badnam ho na jae kahin dosti teri
palkon se apni ashk giraya nahin gaya
'betab' us ke haal pe afsos kijiye
jis se KHud apna dard chhupaya nahin gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.