palTe kahan jo wadi-e-ibham tak gae
palTe kahāñ jo vādī-e-ib.hām tak ga.e
kāzib tarīq-e-majma.a-e-kohrām tak ga.e
har ik thakan ko oḌh ke ḳhākī vajūd par
ham zindagī ko khojne anjām tak ga.e
da.avā thā jin kā shahr meñ ki pārsā haiñ ham
un ke qadam bhī kūcha-e-dushnām tak ga.e
qaa.il karūñ maiñ kis tarah us bad-gumān ko
jab ki safīr hujjat-e-itmām tak ga.e
'tābish' ye ahl-e-aql ke samrāt hī to haiñ
jāhil junūñ meñ harba-e-hangām tak ga.e
palTe kahan jo wadi-e-ibham tak gae
kazib tariq-e-majma-e-kohram tak gae
har ek thakan ko oDh ke KHaki wajud par
hum zindagi ko khojne anjam tak gae
dawa tha jin ka shahr mein ki parsa hain hum
un ke qadam bhi kucha-e-dushnam tak gae
qail karun main kis tarah us bad-guman ko
jab ki safir hujjat-e-itmam tak gae
'tabish' ye ahl-e-aql ke samraat hi to hain
jahil junun mein harba-e-hangam tak gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.