panah DhunD raha hai har ek makan ki taraf
panāh DhūñD rahā hai har ik makāñ kī taraf
ki bachcha dauḌ ke aatā hai jaise maañ kī taraf
amal se aap ke qadmoñ meñ kahkashāñ hogī
ye kyā ki dekhā kareñ aap kahkashāñ kī taraf
lahū se sīñchā huā gulsitāñ miTegā nahīñ
havā.eñ garm chaleñ laakh gulsitāñ kī taraf
ḳhabar ye sab ko hai paanī nahīñ sarāb hai vo
magar haiñ phir bhī sabhī sa.ī-e-rā.egāñ kī taraf
haTā rahe ho ye tinke to socho kyā hogā
parinde ā.eñge jis vaqt āshiyāñ kī taraf
ye rahnumāoñ ke baḳhshe hue añdhere haiñ
hameñ patā nahīñ ham chal paḌe kahāñ kī taraf
kisī ne pairoñ se kuchlā koī gulāb 'qamar'
mirī nigāh ne dekhā hai āsmāñ kī taraf
panah DhunD raha hai har ek makan ki taraf
ki bachcha dauD ke aata hai jaise man ki taraf
amal se aap ke qadmon mein kahkashan hogi
ye kya ki dekha karen aap kahkashan ki taraf
lahu se sincha hua gulsitan miTega nahin
hawaen garm chalen lakh gulsitan ki taraf
KHabar ye sab ko hai pani nahin sarab hai wo
magar hain phir bhi sabhi sai-e-raegan ki taraf
haTa rahe ho ye tinke to socho kya hoga
parinde aaenge jis waqt aashiyan ki taraf
ye rahnumaon ke baKHshe hue andhere hain
hamein pata nahin hum chal paDe kahan ki taraf
kisi ne pairon se kuchla koi gulab 'qamar'
meri nigah ne dekha hai aasman ki taraf
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.