panja-e-zist mein phansa panchhi
panja-e-zīst meñ phañsā panchhī
phaḌ.phaḌāte hue marā panchhī
par nikalte hī ik uḌaan bharī
aur phir ḳhvāb ho gayā panchhī
nā-tavāñ hai abhī vajūd tirā
phir muḳhālif bhī hai havā panchhī
phir palaT kar kabhī nahīñ aayā
qaid se ho gayā rihā panchhī
jā duā.eñ haiñ tere saath mirī
ab muhāfiz tirā ḳhudā panchhī
jaane kab jism kā qafas TuuTe
aur uḌ jaa.e ruuh kā panchhī
panja-e-zist mein phansa panchhi
phaDphaDate hue mara panchhi
par nikalte hi ek uDan bhari
aur phir KHwab ho gaya panchhi
na-tawan hai abhi wajud tera
phir muKHalif bhi hai hawa panchhi
phir palaT kar kabhi nahin aaya
qaid se ho gaya riha panchhi
ja duaen hain tere sath meri
ab muhafiz tera KHuda panchhi
jaane kab jism ka qafas TuTe
aur uD jae ruh ka panchhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.