pankh hote kahin uDi chiDiya
pankh hote kahīñ uḌī chiḌiyā
phir na pīchhe kabhī muḌī chiḌiyā
qaid-ḳhāne meñ kulbulātī thī
ab to ākāsh se juḌī chiḌiyā
koī chhuptā na us kī nazroñ se
ḳhuub chālāk hai baḌī chiḌiyā
naaz us par kise nahīñ hogā
jab hifāzat meñ hai khaḌī chiḌiyā
pankh hote kahin uDi chiDiya
phir na pichhe kabhi muDi chiDiya
qaid-KHane mein kulbulati thi
ab to aakash se juDi chiDiya
koi chhupta na us ki nazron se
KHub chaalak hai baDi chiDiya
naz us par kise nahin hoga
jab hifazat mein hai khaDi chiDiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.