pankhuDi lab hain to aariz hain gul-e-tar ki tarah
pankhuḌī lab haiñ to aariz haiñ gul-e-tar kī tarah
mast āñkheñ haiñ chhalakte hue sāġhar kī tarah
chāñdnī sahn-e-chaman mauj-e-havā kaif-e-bahār
tū nahīñ hai to har ik shai hai sitamgar kī tarah
ashk-e-ġham ko mire dekhe na hiqārat se koī
qatra qatra hai haqīqat meñ samundar kī tarah
kyā miTā.egā koī saf.ha-e-hastī se hameñ
ham zamāne meñ nahīñ harf-e-mukarrar kī tarah
dekh kar aaj kī tahzīb ko mā.il-ba-zavāl
fikr ḳhāmosh hai sanjīda suḳhanvar kī tarah
tīra-baḳhtī hai ye apnī ki zamāne kā karam
apne hī ghar meñ jo ham rahte haiñ be-ghar kī tarah
kaun batlā.e kise rāh-ravī ke ādāb
ab to rahzan bhī nazar aate haiñ rahbar kī tarah
ho ga.ī vo bhī kisī shoḳh kī zulfoñ kī asiir
nik.hat-e-gul hai pareshāñ dil-e-muztar kī tarah
sajda-e-shukr-e-ḳhudā ham se adā kyā ho 'tarab'
dil to dīvāna-e-asnām hai aazar kī tarah
pankhuDi lab hain to aariz hain gul-e-tar ki tarah
mast aankhen hain chhalakte hue saghar ki tarah
chandni sahn-e-chaman mauj-e-hawa kaif-e-bahaar
tu nahin hai to har ek shai hai sitamgar ki tarah
ashk-e-gham ko mere dekhe na hiqarat se koi
qatra qatra hai haqiqat mein samundar ki tarah
kya miTaega koi safha-e-hasti se hamein
hum zamane mein nahin harf-e-mukarrar ki tarah
dekh kar aaj ki tahzib ko mail-ba-zawal
fikr KHamosh hai sanjida suKHanwar ki tarah
tira-baKHti hai ye apni ki zamane ka karam
apne hi ghar mein jo hum rahte hain be-ghar ki tarah
kaun batlae kise rah-rawi ke aadab
ab to rahzan bhi nazar aate hain rahbar ki tarah
ho gai wo bhi kisi shoKH ki zulfon ki asir
nikhat-e-gul hai pareshan dil-e-muztar ki tarah
sajda-e-shukr-e-KHuda hum se ada kya ho 'tarab'
dil to diwana-e-asnam hai aazar ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.