par jo tolen to par na jae kahin
par jo toleñ to par na jaa.e kahīñ
sar uThā.eñ to sar na jaa.e kahīñ
maiñ jo bikhrā to ġham nahīñ lekin
saath tū bhī bikhar na jaa.e kahīñ
dil-e-zinda se ham bhī zinda the
dil-e-zinda hī mar na jaa.e kahīñ
vo jo ik shaḳhs mujh meñ muḳhlis hai
mujh se pahle hī mar na jaa.e kahīñ
aadmī kāmyāb ho ki na ho
maut se pahle mar na jaa.e kahīñ
chaḌhte dariyā ko pūjne vaalo
chaḌhtā dariyā utar na jaa.e kahīñ
uḌ rahe haiñ fazāoñ meñ ḳhanjar
par bachā.ūñ to sar na jaa.e kahīñ
par jo tolen to par na jae kahin
sar uThaen to sar na jae kahin
main jo bikhra to gham nahin lekin
sath tu bhi bikhar na jae kahin
dil-e-zinda se hum bhi zinda the
dil-e-zinda hi mar na jae kahin
wo jo ek shaKHs mujh mein muKHlis hai
mujh se pahle hi mar na jae kahin
aadmi kaamyab ho ki na ho
maut se pahle mar na jae kahin
chaDhte dariya ko pujne walo
chaDhta dariya utar na jae kahin
uD rahe hain fazaon mein KHanjar
par bachaun to sar na jae kahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.