parae logon ne tai kar liya safar mera
parā.e logoñ ne tai kar liyā safar merā
ki mere paañv se lipTā rahā hai ghar merā
maiñ umr bhar kā sukūñ de ke bhī rahā maqrūz
vo sūd-ḳhor-e-mohabbat hai bār-e-sar merā
maiñ terī umr ke har ruup kī amānat huuñ
ki pal rahā hai tirī siip meñ guhar merā
vo be-sutūñ bhī mirī zaat jū-e-shīr bhī maiñ
mujhe ujaaḌ gayā tesha-e-hunar merā
vo merā ho ke bhī zāhir nahīñ huā mujh par
ye iḳhtilāf rahā us se umr bhar merā
parae logon ne tai kar liya safar mera
ki mere panw se lipTa raha hai ghar mera
main umr bhar ka sukun de ke bhi raha maqruz
wo sud-KHor-e-mohabbat hai bar-e-sar mera
main teri umr ke har rup ki amanat hun
ki pal raha hai teri sip mein guhar mera
wo be-sutun bhi meri zat ju-e-shir bhi main
mujhe ujaD gaya tesha-e-hunar mera
wo mera ho ke bhi zahir nahin hua mujh par
ye iKHtilaf raha us se umr bhar mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.