parai bhiD mein kaise juda lagunga main
parā.ī bhiiḌ meñ kaise judā lagūñgā maiñ
akelā hūñgā to sab ko ḳhudā lagūñgā maiñ
abhī to ret kī sūrat uḌā rahe ho mujhe
zarā sī der ruko aa.ina lagūñgā maiñ
burā lagegā koī din tujhe badan kā ḳhayāl
phir ek shab tire siine se aa lagūñgā maiñ
safar meñ tujh pe kabhī ahmiyat khulegī mirī
bhaTakne vaale tujhe rāsta lagūñgā maiñ
tire ġhubār ne merī chamak ghaTā dī hai
havā chalegī to phir se nayā lagūñgā maiñ
pahan liyā thā kisī roz baap kā juutā
mujhe lagā thā ki aise baḌā lagūñgā maiñ
ḳhudā-parastoñ ne kāfir samajh ke maar diyā
pata nahīñ ki farishtoñ ko kyā lagūñgā maiñ
shikast khā ke bhī merī anā bachī rahegī
ujaḌte vaqt bhī us ko harā lagūñgā maiñ
ajab nahīñ hai ki mub.ham rahe qarīb kī shai
zamīñ kī aañkh se dekho ḳhalā lagūñgā maiñ
hazāroñ vāqiye maiñ ne nigal liye 'hamza'
muarraḳhīn ko ātish-kada lagūñgā maiñ
parai bhiD mein kaise juda lagunga main
akela hunga to sab ko KHuda lagunga main
abhi to ret ki surat uDa rahe ho mujhe
zara si der ruko aaina lagunga main
bura lagega koi din tujhe badan ka KHayal
phir ek shab tere sine se aa lagunga main
safar mein tujh pe kabhi ahmiyat khulegi meri
bhaTakne wale tujhe rasta lagunga main
tere ghubar ne meri chamak ghaTa di hai
hawa chalegi to phir se naya lagunga main
pahan liya tha kisi roz bap ka juta
mujhe laga tha ki aise baDa lagunga main
KHuda-paraston ne kafir samajh ke mar diya
pata nahin ki farishton ko kya lagunga main
shikast kha ke bhi meri ana bachi rahegi
ujaDte waqt bhi us ko hara lagunga main
ajab nahin hai ki mubham rahe qarib ki shai
zamin ki aankh se dekho KHala lagunga main
hazaron waqiye main ne nigal liye 'hamza'
muarraKHin ko aatish-kada lagunga main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.