parai nind mein sone ka tajraba kar ke
parā.ī niiñd meñ sone kā tajraba kar ke
maiñ ḳhush nahīñ huuñ tujhe ḳhud meñ mubtalā kar ke
usūlī taur pe mar jaanā chāhiye thā magar
mujhe sukūn milā hai tujhe judā kar ke
ye kyuuñ kahā ki tujhe mujh se pyaar ho jaa.e
taḌap uThā huuñ tire haq meñ bad-duā kar ke
maiñ chāhtā huuñ ḳharīdār par ye khul jaa.e
nayā nahīñ huuñ rakhā huuñ yahāñ nayā kar ke
maiñ jūtiyoñ meñ bhī baiThā huuñ puure maan ke saath
kisī ne mujh ko bulāyā hai iltijā kar ke
bashar samajh ke kiyā thā nā yuuñ nazar-andāz
le maiñ bhī chhoḌ rahā huuñ tujhe ḳhudā kar ke
to phir vo rote hue minnateñ bhī mānte haiñ
jo intihā nahīñ karte haiñ ibtidā kar ke
badal chukā hai mirā lams nafsiyāt us kī
ki rakh diyā hai use maiñ ne an-chuā kar ke
manā bhī lūñgā gale bhī lagā.ūñgā maiñ 'alī'
abhī to dekh rahā huuñ use ḳhafā kar ke
parai nind mein sone ka tajraba kar ke
main KHush nahin hun tujhe KHud mein mubtala kar ke
usuli taur pe mar jaana chahiye tha magar
mujhe sukun mila hai tujhe juda kar ke
ye kyun kaha ki tujhe mujh se pyar ho jae
taDap uTha hun tere haq mein bad-dua kar ke
main chahta hun KHaridar par ye khul jae
naya nahin hun rakha hun yahan naya kar ke
main jutiyon mein bhi baiTha hun pure man ke sath
kisi ne mujh ko bulaya hai iltija kar ke
bashar samajh ke kiya tha na yun nazar-andaz
le main bhi chhoD raha hun tujhe KHuda kar ke
to phir wo rote hue minnaten bhi mante hain
jo intiha nahin karte hain ibtida kar ke
badal chuka hai mera lams nafsiyat us ki
ki rakh diya hai use main ne an-chua kar ke
mana bhi lunga gale bhi lagaunga main 'ali'
abhi to dekh raha hun use KHafa kar ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.