paraya lag raha tha jo wahi apna nikal aaya
parāyā lag rahā thā jo vahī apnā nikal aayā
mirā ik ajnabī se duur kā rishta nikal aayā
abhī tak to tirī yādeñ mirī mīrās thiiñ lekin
tasavvur meñ kahāñ se ik nayā chehra nikal aayā
vo dariyā hai ye kahne meñ mujhe ab sharm aatī hai
mujhe sairāb kyā kartā vo ḳhud pyāsā nikal aayā
isī ummīd par sab ashk meñ ne sarf kar Daale
agar in motiyoñ meñ ek bhī sachchā nikal aayā
vo merī zindagī bhar kī kamā.ī hī sahī lekin
maiñ kyā kartā vahī sikka agar khoTā nikal aayā
mujhe us bazm meñ yaad aa ga.iiñ tanhā.iyāñ apnī
maiñ sab ko chhoḌ ke us bazm se tanhā nikal aayā
mujhe chāroñ taraf se manziloñ ne gher rakkhā thā
yahāñ se bhī nikalne kā magar rasta nikal aayā
añdherā thā to ye saare shajar kitne akele the
khulī jo dhuup to har peḌ se saaya nikal aayā
paraya lag raha tha jo wahi apna nikal aaya
mera ek ajnabi se dur ka rishta nikal aaya
abhi tak to teri yaaden meri miras thin lekin
tasawwur mein kahan se ek naya chehra nikal aaya
wo dariya hai ye kahne mein mujhe ab sharm aati hai
mujhe sairab kya karta wo KHud pyasa nikal aaya
isi ummid par sab ashk mein ne sarf kar Dale
agar in motiyon mein ek bhi sachcha nikal aaya
wo meri zindagi bhar ki kamai hi sahi lekin
main kya karta wahi sikka agar khoTa nikal aaya
mujhe us bazm mein yaad aa gain tanhaiyan apni
main sab ko chhoD ke us bazm se tanha nikal aaya
mujhe chaaron taraf se manzilon ne gher rakkha tha
yahan se bhi nikalne ka magar rasta nikal aaya
andhera tha to ye sare shajar kitne akele the
khuli jo dhup to har peD se saya nikal aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.