parakh sako to mohabbat ka ek mizaj hain hum
parakh sako to mohabbat kā ik mizāj haiñ ham
kal is tarah nahīñ mil pā.eñge jo aaj haiñ ham
koī ḳhatā-e-mohabbat azal meñ kar lī thī
zabān-e-sher meñ bhejā huā ḳhirāj haiñ ham
is ik hunar se ḳhudā sab ko faizyāb kare
ki ab bhī jis ke liye vaqf-e-ehtiyāj haiñ ham
sunā hai ghaav mile haiñ tujhe bahut gahre
to ham se mil ki tire ghaav kā ilaaj haiñ ham
kisī kī yaad meñ umr apnī ho rahī hai basar
kisī ke ahd-e-vafā kī 'nasīm' laaj haiñ ham
parakh sako to mohabbat ka ek mizaj hain hum
kal is tarah nahin mil paenge jo aaj hain hum
koi KHata-e-mohabbat azal mein kar li thi
zaban-e-sher mein bheja hua KHiraj hain hum
is ek hunar se KHuda sab ko faizyab kare
ki ab bhi jis ke liye waqf-e-ehtiyaj hain hum
suna hai ghaw mile hain tujhe bahut gahre
to hum se mil ki tere ghaw ka ilaj hain hum
kisi ki yaad mein umr apni ho rahi hai basar
kisi ke ahd-e-wafa ki 'nasim' laj hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.